OwnSkin logo
To sign my guestbook, you need to signin first.
Sexy baby inside!

1stFairy Guestbook

Ameensadik  (10 years ago)
fb pe karo msg
Ameensadik  (10 years ago)
msg kyu ni kiya
Ameensadik  (10 years ago)
miss you
Ameensadik  (10 years ago)
Be-qaraari si be-qaraari hai
Wasl hai aur firaaq taari hai
Jo guzaari na ja saki hum se
Hum ne woh zindagi guzaari hai
Us se kahiyo K dil ki galioN meN
Raat din teri intezaari hai
Ik mehak samt-E-jaaN se aayi thi
MaiN yeh samjha teri sawaari hai
Haad-soN ka hisab hai apna
Warna har aan sab ki baari hai
Bin tumhare kabhi nahiN aayi
Kya meri neeNd bhi tumhari hai
Nig-habaaN kya hue K logoN par
apna saaya bhi ab to bhaari hai
Khush rahe tu ke zindagi apni
Umr bhar ki ummeed waari hai
Aap meN kaisay aauN maiN tujh bin
SaaNs jo chal rahi hai aari hai
Hijr ho ya wisal ho kuchh ho
Hum haiN aur us ki yaadgaari hai
Ameensadik  (10 years ago)
Khud pr bharosey ka hunar seekh lo

Loag Kitne bhi sachy hoon sath chor jaye hain
Ameensadik  (10 years ago)
Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai
Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai
Main tujhse dur kaisa hun,tu mujhse dur kaisi hai?
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai

Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai
Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka
Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama

Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
Ameensadik  (10 years ago)
Bholay Hain Rafta Rafta Unhain Mudaton Main Hum.....!!!!

Qiston Main Khudkushi Ka Maza hum Se Puchiye........!!!!
Ameensadik  (10 years ago)
Kia hoti hai pehchan
Itna kaafi nahi hun insaan

Jab jud jaate hai dil se dil
Ungli kyon karta hai shaitan

Rishta ek din ka,ya barso ka
Hum us pe luta de apni jaan

Hoti rahe baatein ya na ho
Khamoshi ki bhi hoti hai ek zuban

Mujhe jo kehna hai kehte raho
Har Rishte ka lekin hota hai maan

woh kahawat toh sab ne suni hai
Give respect and take samman
Ameensadik  (10 years ago)
Muqadar tooth jaye to

Muhabbat har jati hai
Ameensadik  (10 years ago)
Fizao se uljh kar ek haseen ye raaz jaana hai......
Jise Kehte hai Mohhabat wo Nasha Katilana
hai.........;'(

Home | English
Old OwnSkin Mobile
Login
Feedback/Help
©2009 http://m.ownskin.com